NetBanking kya hai puri jaankari hindi mein


Net Banking kya hai ? What is Net Banking in Hindi ?

Dosto aapne Net Banking ka naam to jarur suna hoga. Lekin kya aapko malum hai ki Net Banking kya hai or ise kaise use karte hai . Net Banking se hume kya laabh milta hai . is post me hum aapko net banking ke bare me vistar se batainge

Net Banking kya hai ?

Net banking jaisa naam se hi clear hai internet ke madhyam se ki jaane wali banking. Net Banking ke madhyam se hum ghar baithe computer or internet ke madhyam se apna bank account access kar sakte hai. Net Banking un logo ke liye bahut faydemand hai jo bank ki line me nahi lagna chahte aur unke liye bhi jo apne bank ki location area se dur rahte hai . Net banking ki madad se apne bank ko kahi se bhi manage kar sakte hai sirf aapke paas apna laptop/computer or internet connection hona chahiye.

Also read : List of banks in India

Benefits of Net Banking

  1. Balance check - Net Banking ke madhyam se aap kabhi bhi apne account ka balance check kar sakte hai.
  2. Statement - net banking ke madhyam se aap apne account ka latest statement online check kar sakte hai
  3. Fund transfer – Net banking ke madhyam se aap 24x7 kisi ko bhi kisi bhi bank account me paise transfer kar sakte hai .
  4. Request of Cheque book , Credit card , Debit card and Demand Draft – net banking ke madhyam se aap ghar baithe hi cheque book , atm card, credit card ke lia aavedan kar sakte hai.
  5. Online payment – net banking ke madhyam se hum online shopping sites ko payment kar sakte hai. Mobile recharge, dth recharge , electricity bill pay kar sakte hai.

Net Banking ka use kaise kare

Agar aapka bank me account hai toh aap bhi net banking ka use kar sakte hai.

Offline net banking ke liye register kaise kare -

  • Sabse pehle aapko apni bank branch me jaakar net banking ka form lekar fill karke jama karna hoga.
  • Agar aapka bank net banking support nahi karta toh aap us bank me account open kare jahan net banking ki suvidha ho.
  • Net banking ka form jama karne ke baad bank aapko User ID or Password dega jisse aap apne account me login karenge.
  • Login karne ke baad bank aapse kuch details bharne ko kahega use sahi se fill kare or submit kare . yadi aapne sab details sahi tarike se fill kiya hai toh aapka net banking account active ho jayega jise aap use kar sakte hai.


Online net banking ke liye register kaise kare

Vartmaan me bahut saare bank aapko online net banking ke liye register karne ki suvidha dete hai. apne account ke liye online net banking activate karne ke liye aapke pass debit card aur bank me registered mobile number hona chahiye.

aap apne bank ki net banking website par visit kar online register ka option chun kar registeration kar sakte hai aur internet banking ka laabh utha sakte hai.

Net Banking security se judi khaas baate

Net banking kahbi bhi dusre ke computer ya cyber café me use na kare isse aappke personal jaankari or paasword leak ho sakte hai.Net banking hamesha akele use karna chahiye jisse koi bhi vyakti aapki detaile na dekh sake.Net banking ke lis hamesha bharoshemand or secure browser jaise chrome broser ka use kare or hamesha kisi acche antivirus ka use kare jissr apka account hack na ho sake.Apna password change karte rahe jisse hacker aapke account ko hack na kar sake.Agar aapko apne account ko lekar kuch bhi galat lage toh turant apne bank me sampark kare.

Net banking ki suvidha lagbhag sabhi public sector or private bank provide kate hai . agar aapka bank ye suvidha nahi deta toh net banking seva dene walw bank me apna account open kare. Ummeed hai net banking kya hai oe ise kaise use karte hai aapki samaj aagaya hoga. Adhikjaan kari ke lia aap apni bank branch me sampark kare.

Also read :

net banking ka surakshit upyog kaise kare
SBI net banking online register kaise kare


WHAT IS NET BANKING IN HINDI. NET BANKING KYA HAI PURI JAANKARI HINDI MEIN
और नया पुराने