Payoneer kya hai ? Payoneer par account kaise banaye

payoneer kya hai

Payoneer kya hai aur India me Payoneer par account kaise banaye ki puri jaankari hindi me. Aap ne Payoneer ka naam to suna hi hoga ye bhi Paypal ki hi tarah online payment recieve karne ke liye best online account hai. ise "Koyuval Tel" ne 2005 me launch kiya tha Payoneer lagbhag 200 countries me support karta hai. is article me hum aapko payoneer par acount kaise create karte hai ke baare me puiri jaankari share karne waale hai.

Agar aap India me rahte hai toh aap Payoneer ka upyog kar sakte hai. India me aap Payoneer se prapt hue Dollar ko indian currency me bank ke madhyam se convert kar sakte hai. Ye US Dollar ko INR me convert kar aapke local bank account me send kar deta hai wo bhi mamuli si fees lekar.

Agar aap koi online work karte hai for example – blogging , freelancer , online business etc toh aap apni payment payoneer account me le sakte hai . kyunki bahut saari international companies aapko google adsense ki tarah direct bank account transfer ka option nahi deti ye aapko US dollar me hi payment karti jise prapt karne ke liye aapke paas paypal , payoneer ya dursa koi e-wallet account hona chahiye. Bloggers ke liye kai saare adnetwork payoneer se payment ka option dete hai.

Payoneer Account kaise banaye


Payoneer par account banane ke lia sabse pehle payoneer.com site par jaye or niche diye gaye steps ko follow kare.

Step 1:
  • Sign up ke option par click kare
  • ab "Individual" ko select kare
  • Apna pura naam daale
  • Apni email id dale
  • Re-enter email id
  • Date of birth dale
  • Next par click kare



Step 2:
  • ab apni "Country" select kare
  • Street address me apna address bhare
  • Apne city ka naam dale
  • Apna postal/zip code enter kare
  • Mobile number enter kare
  • Next par click kare

Step 3:
  • apna "User ID" naam dale
  • Password enter kare kam se kam 10 digit ka
  • Re-enter password
  • Security answer – likh kar jarur rakhe
  • Next par click kare

Step 4:

  • apna "bank account type" select kare.
  • "Bank account country" select kare.
  • apni bank "currency" select kare
  • apne bank ka naam select kare jaise - HDFC, ICICI, IDBI etc.
  • "Account name" me apna naam dale
  • apna account number enter kare.
  • Bank ka "IFSC code" enter kare
  • "Type of account" select kare saving/current
  • Terms and condition ko tick kare
  • apni details phir check kare aur submit par click kare.

also read : PPD network se paise kaise kamaye

Payoneer ki taraf se apki email id par ek mail bheja jayega jisse aapko apna email id confirm karni hai . apka account ab payment receive karne ke liye ready hai . jo bhi company ya ad networks payoneer se payment karte hai aap unki payment apne account me le sakte hai.

toh dosto ummeed karte hai payoneer account par di gayi hamari ye jaankari aapke jarur kaam aayi hogi. isi tarah ke jaankari waale article padhne ke liye hamare blog allhindibuzz par visit karte hai. blog par visit karne ke liye aapka dhanyawaad.


Payoneer account kaise banaye. payoneer kya hai. India me payoneer se payment kaise le. payoneer account ke fayde.
और नया पुराने