Virtual Credit Card kya hota hai ? India me VCC kaise banaye

virtual credit card vcc kya hota hai


Virtual Credit Card (VCC) Kya Hai India me VCC Kaise Banaye

Dosto aaj ki is post me hum aapko batane waale hai ki Virtual Credit Card (VCC) kya hai aur India me Virtual Credit Card kaise banaye. VCC un logo ke liye bade kaam aa sakta hai jinke paas bank dwara jaari physical credit card nahi ya jinhe kabhi kabhar hi iski jarurat padti hai.

Dosto agar aap India me rahte hai aur online kisi shopping site se kuch kharidna chate hai jisme aapko credit card se payment karna padta hai aur aapke pass international credit card nahi hai to Virtual Credit Card ka istemaal kar sakte hai . aapko malum hoga ki India me har vyakti ke pass debit card toh hota hai lekin credit card banwana utna aasaan nahi hai aisi situation me Virtual Credit Card aapke lia ek accha option saabit ho sakta hai.

VCC (Virtual Credit Card) Kya hai ?

Virtual Credit Card ek digital prepaid card hota jisme aap online banking ya debit card se paise add kar sakte hai VCC me bhi physical card ki tarah card number , CVV number aur validity hoti hai. Is card ke madhyam se aap kisi bhi site par shopping kar sakte hai jaha bhi visa/mastercard ka option ho waha aap ise use kar sakte hai iski madad se aap web hosting , domain name , online services ke lia bhi payment kar sakte hai. Security ki hisab se bhi VCC ek accha option hai jisme aapko apni original card details nahi share karni padti.

Virtual Credit Card provider in India

Internet par kai sites hai jo aapko VCC uplabdh karati hai aur kai Indian Banks bhi VCC apne customer ko offer karte hai . aap inka use karke apna Virtual Card bana sakte hai. Yaha hum aapko kuch sites aur banks ki list de rahe hai jo VCC provide karte hai.

In sites par jaakar aap inke dwara diye jaa rahe VCC ki aur adhik jaankari prapt kar sakte hai.

  1. Entropay
  2. Netteler
  3. Netspend
  4. Bankfreeedom
  5. ICICI Virtual Card
  6. Kotak netc
  7. HDFC Bank (VCC)

Kuch international sites sirf credit card se hi payment accept karti hai. yadi aapke paas credit card lekin aap kisi karan se usse international sites par payment nahi ho paa raha hai toh aapko pareshaan hone ki jarurat nahi aap upar diye gaye company site par jaakar apne liye ek new credit card create kar sakte hai. aapko jitna money pay karna hai us hissab se aap is VCC me money add kar payment kar sakte hai.

Virtual Credit Card ki validity ke baare me aap inhe jaari karne waali sites se jaan sakte hai kuch cards sirf one time use ke liye hote hai agli baar istemaal karne ke liye aapko phir se ek naya card create karna padta hai.


toh dosto ummeed karte hai virtual credit card ke baare me hamari ye post aapko jarur kuch kaam aayi hogi. blog par visit karne ke liye dhanywaad!



VIRTUAL CREDIT CARD KYA HAI INDIA ME VIRTUAL CREDIT CARD KAISE BANAYE . VIRTUAL CREDIT CARD KI JAAN KARI HINDI ME . WHAT IS VIRTAUL CREDIT CARD ( VCC).
और नया पुराने